Saturday, June 9, 2012

Maine jab bhi muskuraya.......

Maine jab bhi muskuraya,
meri hasi me mujhe tu yaad aaya!
Maine jab bhi khud ko akela paya,
Tanhai me mujhe tu yaad aaya!!

Maine jab bhi khwabo ko sajaya,
har umeed me tujhe hi paya!
Maine jab aaine me khud ko dekha,
mere aks me bhi mila tera saaya!!

Maine jab bhi dil ko dhadakta paya,
har dhadkan me bhi tera naam aaya!!!!

No comments:

Post a Comment