Tripti
Friday, June 29, 2012
Tera Pyaar Baarish Jaisa
Tera pyaar baarish jaisa......
Teri baatein bhi baarish jaisi......
Tera deedar bhi baarish jaisa.....
Tere saath bhi baarish jaisa....
Saturday, June 9, 2012
Khalipan.......
Aaj tujhe sochkar sirf khalipan sa bharta hai.......
Yeh mehsus hota hai ki mera kuch piche chhut gaya..
Par in saanson se, na mere jajbaaton se tera koi rishta hai......
Jab bhi tujhe dekhti thi, ek manzar in aankhon me basta tha..
Aaj wahi nazarein milne par ek sunapan sa khalta hai.....
Jab bhi tujhse dur hoti thi, dil seham sa jata tha....
Aaj tujhse bichadne par bhi yeh dil roz dhadakta hai.....
Jab bhi tujhe chot deti thi, mera dil jhakhmi ho jata tha..
Aaj tujhe ghayal dekhkar yeh dil na koi dard samajhta hai...
Yeh maalum pdhta hai ki dil mera ab banjar ho gaya..
Aur tera aansu dekhkar bi na mera dil pighalta hai..
Meri khamoshi ya meri khushi ki na koi pehli samjhta hai..
Lab ke muskurane par khuda bhi mere sath me hasta hai..
Maine jab bhi muskuraya.......
meri hasi me mujhe tu yaad aaya!
Maine jab bhi khud ko akela paya,
Tanhai me mujhe tu yaad aaya!!
Maine jab bhi khwabo ko sajaya,
har umeed me tujhe hi paya!
Maine jab aaine me khud ko dekha,
mere aks me bhi mila tera saaya!!
Maine jab bhi dil ko dhadakta paya,
har dhadkan me bhi tera naam aaya!!!!
Saturday, January 21, 2012
Ek Bachpan
Friday, June 24, 2011
Agar dur jane ka dil kare.......
Wednesday, June 15, 2011
Jab bhi tu yaad aata hai........
Jab bhi woh pal yaad aatein hai,
Tu bahut yaad aata hai, har pal tujhe yaadon me satate rehne ko dil chahta hai!
Jab bhi tera muskurana yaad aata hai,
Ek pal toh muskana achha lgta hai aur ek pal me aasuon se dosti krne ko dil chahta hai!
Jab bhi tera gungunana yaad aata hai,
Ek pal toh geet ache lgte hai aur ek pal me khamoshi se dosti krne ko dil chahta hai!
Jab bhi tera ladna jhagdna yaad aata hai,
Ek pal toh gussa krna achha lgta hai aur ek pal me shor hi shor suani de dil chahta hai!
Jab bhi tera paas rehna yaad aata hai,
Ek pal toh logon se muhabbat ho jati hai aur ek pal me tanha rehne ko dil chahta hai!
Jab bhi tera deedar hona yaad aata hai,
Ek pal toh nazarein tujhpar tham si jati hai aur ek pal me nazarein churane ko dil chahta hai!
Jab bhi tera ruthkar man jana yaad aata ha,
Ek pal toh nakhre karna achha lgta hai aur ek pal me khafa ho jane ko dil chahta hai!
Jab bhi tera khwabon me milna yaad aata hai,
Ek pal toh neendein acchi lgti hai aur ek pal sirf jaagte rehnko ko dil chahta hai!
Jab bhi tera intezaar krna yaad aata hai,
Ek pal toh intezar krwana achha lgta hai aur ek pal me waqt se pahuchne ko dil chahta hai!
Jab bhi kabhi tu yaad aata hai....
Tu bahut yaad aata hai....
Tujhe khuda se chheen laane ko dil chahta hai
Tujhe sabse chura ke paas rakhne ko dil chahta hai
Jab bhi tu yaad aata hai......
Tu bahut yaad hai......
Sirf tu hi tu yaad aata hai.......yaad aata hai.....yaad aata hai....
Wednesday, February 16, 2011
Khwahishe kuch nayi si, Arzue kuch ankaheen si.
kuch dairo se aaj bahar nikal lu.
kuch khwab main bhi saja lu,
kyun na tujhe aaj palakon par baitha lu.
ek hasi tere hothon ki, ek hasi mere hothon ki,
kyun na humari ek muskaan aaj main kr du.
ek bar haath tera tham ke ,
kyun na ek raat ek jindagi aaj main bita du.
kyun na tujhko main apni baahon me bhar lu,
kyun na aaj tujhko main apna sa hi kar du.
ek bhi shikan tere chehre par jo dikhe,
ek bhi bal tere maathe par jo aaye,
kyun na aaj use me rafaa main kar du,
kyun na aaj use daga main hi de du.
aankhon me teri dekh kar ke main aaj,
meri jindagi me roshni hi roshini kar du.
tere aasuo ko pee ke main aaj,
mere liye amrit jal sa pawan kr du.
aaj fir se sham aa gayi hai,
tujhe chahne ki raat aa gayi hai.
kyun na aaj mujhme teri in,
kyun na aaj is chahat ko,
humari chahaton ki hadd kar du.
fir mauka milega ki nhi kabhi,
kyun na aaj hi main teri ho jau,
aur kyun na tujhe mera hi mera kr du.